Jab Dhalti Shaam Mein Dil Ghabaraye , Tum Ghar Lout Aana.... Jab Dil Mein Koi Baichini Se Badh Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Palkein Bichhaye Aaj Bhi Intzar Mein Rehti Hai Teri Maa.... Tujhe Kabhi Bhule Se Maa Ki Yaad Aaye, Tum Ghar Lout Aana.... Bachpan Guzara Tha Jis Aangan Mein Tumne Khel Khel Kar.... Jo Yaad Kr Us Aangan Ko Ashk Beh Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Maa Aaj Bhi Bana Kar Rakhti Hai Teri Pasand Ke Pakwan.... Bahar Khane Se Jo Bhukh Na Mit Paye, Tum Ghar Lout Aana.... Rakhi Ka Dhaga Le Bhai Ke Intzar Mein Gumsum Baithi Hai Behna.... Gar Yeh Dhaga Apnepan Ka Ehsas Dilaye, Tum Ghar Lout Aana.... Kandhe Bitha Jisne Dunia Dikhai Wo Aaj Bhi Teri Raah Takte Hain.... Jab Dunia Ki Chakachoundh Se Dil Bhar Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Maa Baba Ki Zuban Kuch Na Kahe Par Nam Aakhein Sab Kehti Hai.... In Aansuon Ki Jab Tumhe Qadr Samjh Aaye , Tum Ghar Lout Aana..*GS*
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya