Jab Dhalti Shaam Mein Dil Ghabaraye , Tum
Ghar Lout Aana....
Jab Dil Mein Koi Baichini Se Badh Jaye, Tum
Ghar Lout Aana....
Palkein Bichhaye Aaj Bhi Intzar Mein Rehti Hai
Teri Maa....
Tujhe Kabhi Bhule Se Maa Ki Yaad Aaye, Tum
Ghar Lout Aana....
Bachpan Guzara Tha Jis Aangan Mein Tumne
Khel Khel Kar....
Jo Yaad Kr Us Aangan Ko Ashk Beh Jaye, Tum
Ghar Lout Aana....
Maa Aaj Bhi Bana Kar Rakhti Hai Teri Pasand
Ke Pakwan....
Bahar Khane Se Jo Bhukh Na Mit Paye, Tum
Ghar Lout Aana....
Rakhi Ka Dhaga Le Bhai Ke Intzar Mein
Gumsum Baithi Hai Behna....
Gar Yeh Dhaga Apnepan Ka Ehsas Dilaye, Tum
Ghar Lout Aana....
Kandhe Bitha Jisne Dunia Dikhai Wo Aaj Bhi
Teri Raah Takte Hain....
Jab Dunia Ki Chakachoundh Se Dil Bhar Jaye,
Tum Ghar Lout Aana....
Maa Baba Ki Zuban Kuch Na Kahe Par Nam
Aakhein Sab Kehti Hai....
In Aansuon Ki Jab Tumhe Qadr Samjh Aaye ,
Tum Ghar Lout Aana..*GS*
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment