Skip to main content

Woh ek chala jayega

Mera Pyaar Ek Din Mujhko Chhod Jayega....
Na Chahte Hue Bhi Iss Dil Ko Tod Jayega....
Ki Duvayn Humne Kisi Roj Sath Zindagi Bitane
Ki....
Wo Is Zindagi Ko Duao Ke Sahare Chod
Jayega....
Jo Kabhi Bhara Karte The Khushoyo Se Mera
Daaman....
Ab Wo Un Khusiyo Ko Virana Kar Jayega....
Uske Ghar Ki Taraf Se Hai Pabandi, Na Chahte
Hue Bhi Use Jana Hoga....
Nahi Reh Sakti Mere Bin Ek Pal Bhi Wo Na
Chahte Hue Bhi Use Hamari Judaai Ko Nibhana
Hoga....
Toot Kar Bikhar Jayegi Uski Pyari Si Ummede....
Uske Bhole Masum Chehre Pe Udasi Ka Alam
Hoga....
Haskar Dekhega Ye Zamana Iss Judai Ka
Manjar....
Jab Humpar Zulm Ye Sareaam Katilana Hoga.....
Aashiqo Ki Ginti Mei Mera Bhi Naam Hoga....
Kyuki Mere Pyar Ka Bhi Wahi Anjam Hoga.....
Jis Shehar Mei Bitaye Hai Mohabbat Ke Din...
Waha Jabardasti Mera Pyar Neelam Hoga...
Bada Bedard Wo Manjar Hoga Jab Do Jism Ek
Jaan Juda Honge...
Aankhu Me Aansu, Dil Me Tadap Chehre Pe
Berukhi Aur Juban Khamosh Hogi...
Usne Kaha Mujhse, Mujhe Le Jao Yaha Se
Ravi...
Ki Ab Tum Bin Mujhse Jiya Na Jayega...
Pal To Pal Ki Baat Aur Thi Tab Me Tum Se Rooth
Jaya Karti Thi...
Par Tamam Umr Mujhe Ye Jehar Piya Na
Jayega...
Rok Lo Mujhko Mujhe Baho Me Lelo Tum...
Ki Tumko Chodne Ka Mera Dil Nhi Karta...
Samne Baithi Hu Tumhare Mere Sanam...
Tumhe Dekhne Se Mera Dil Nhi Bharta....
Lafz Khamosh Rhe Ki Ankhei Bolti Rahi...
Wo Bhi Chup Rahe Hum Bhi Chup Rahe...
Wo Chuppi Ka Alam Wo Todke Kehte Hai...
Meri Shaadi Hai Ravi Tumko Jarur Aana Hai...
Akhri Baar Tumhe Dekhna Chahti Hu Uss Pal
Me...
Jab Mera Dil Alag Hoga Meri Jaa Alag Hogi,
Mere Shareer Me Se Jaise Meri Aatma Alag
Hogi......
Mera Pyar Alag Hoga, Meri Kaynat Alag Hogi...
Mera Ghar Baar Alag Hoga, Mera Sansar Alag
Hoga.....
Jaan Ab Mujhe Ijazat Do Mujhe Ab Jana Hoga...
Maa Baap Se Kiya Hai Wada Use Nibhana
Hoga...
Umeed Hai Tum Smjhoge Meri Majboori Ko...
Khud Ko Majboot Kar Ke Sahloge Hmari Doori
Ko...
Mera Malik Janta Hai Ke Mai Andar Se Toot C
Gyi Hu...
Beti Itni Majboor Kio Hai Ye Soch Khud Se Hi
Rooth Gyi Hu...
Magar Jate Huye Mai Ek Wada Tumse Kar Ke
Jaungi...
Lakh Dur Chli Jau Par Tumhe Bhoola Na
Paungi...
Jab Jab Mai Mayke Aungi Tumse Milkar Mai
Jaungi...
Tumhe Zakham Diye Hai To Marham Bhi Mai Hi
Lagaungi...
Mera Jism Le Jayega Mujhe Apne Ghar Lejane
Vala...
Magar Me Ye Rooh Apni Tumhe Tohfe Me De
Jaungi...
Ye Sapne Nhi Dikha Rahi Ye Hakikat Hai Mere
Pyar Ki...
Jise Sanse Bech Kar Kharida Kaise Bhul Paungi
Surat Us Yaar Ki...
Bas Itna Hi Karam Karna Ke Mujhe Bewafa Na
Bnana...
Jise Marzi Jagah Dena Mere Baad Par Apni Jaan
Ko Na Tum Bhoolana...
Maai Apne Baap Ki Izat Ke Liye Kurbaan Hone
Ja Rahi Hu...
Magar Maaf Karna Unki Khushi Ke Liye Shikar
Tumhe Bna Rahi Hu...
Tod Ke Jaa Rahi Hu Apne Hi Snjoye Khwabo
Ko...
Koi To Aisa Ho Jo Khatam Karde Is Zmane Ke
Ghinone Riwazo Ko...
Khuda Tumhe Duniya Ki Har Khushi Se
Nawaze...
Khushiya Mile Tumhe Na Wo Gum Ki Kabhi
Hawa De.....
Aur Mei Siwaye Rone Ke Kuch Na Kar Paya...
Sirf Use Dekhta Rha, Aur Khud Ko Kosta Rhaa...
Kabhi Khud Ko Kosa Kabhi Khudayi Ko Kosa...
Mujhse Hone Ja Rhi Teri Judai Ko Kosa....
Dil Ye Toot Ke Roya Ki Ankhei Behne Lagi...
Aakhri Baar Uska Hath Mere Hath Mei Tha Wo
Chotne Laga Mei Tadapne Laga...
Maine Usse Akhir Baar Kaha Tum Jaa To Rahi
Ho Jate Huye Meri Do Char Baate Sunti Jao...
Jo Baate Bta Rha Hu Inka Khyal Rakhna Inhe
Apne Dil Me Bunti Jao...
Khane Peene Ka Apne Tum Khud Se Khyal
Rakhna...
Apne Kam Me Kisi Tarah Ka Alas Na Karna...
Mujhe Malum Hai Mere Baad Tum Jyada Chidh
Chidhi Hojaogi...
Mai Na Rahunga Kahne Ko To Tum Bina Kisi Ki
Sune Khana Khaye Baigair Hi Sojaogi...
Maa Baba Ki Baato Pe Palat Kar Jawab Na Dena
Tum...
Apni Adat Sudhar Lo Be Matlab Ke Baval Na
Lena Tum...
Mai Janta Hu Mujhe Chhodna Tumhari
Bewafayi Na Thi...
Majbooria Na Hoti To Tum Mujhe Chhod Kabhi
Na Jati...
Badi Mushkil Se Tumhari Aadto Ko Sudhar Paya
Tha...
Shayad Tumhare Liye Hi Rab Se Kuchh Sanse
Mai Udhar Laya Tha...
Agar Zinda Rha To Tumhara Intzar Karunga...
Fikar Mat Karna Jab Bhi Marunga Mai Bta Kar
Marunga...
Chhod Kar Ja Rahi Ho Iska Matlab Ye Nhi Ke
Bhool Jana Tum...
Jab Bhi Yaad Aaye Meri Ek Dost Ke Nate Milne
Chli Aana Tum...
Are Are Ye Kya Tumhari Ankhe To Barsat Kar
Rahi Hai...
Tum Ro Pado Us Se Pahle Mera Yha Se Chle
Jana Sahi Hai...
Umeed Karta Hu Mai Tumhari Yaado Me
Hamesha Aabad Rahunga...
Tumhe Har Mukam Pe Kamyabi Mile Mai Rab
Se Dua Karunga.....
Uske Jaate Hi Poocha Maine Kyu Mere Rab Ab
Tu Khush Hai Na....
Na Wo Mere Ho Paye Na Kisi Or Ke Ho
Payenge...
Jo Mera Pyar Unke Dil Mei Wo Kaise
Mitayenge..
Dhadkan Ko Meri Alag Kar Tune Acha Nhi
Kiya....
Pyar Shabd Se Mera Vishwas Utha Diya Ki
Judayi Hi Pyar Ki Manjil Hai...
Pyaar Mei Milti Yahi Virasat Hai...
Mujhe Tanha Bana Diya, Unka Sab Kuch Mita
Diya....
Tune Pyar Karne Ka Asli Chehra Dikha Diya....
Wah Mere Maullah Ye Acha Sila Diya..*GS*

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरि...

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban...