Kbi dil ny tujhy ganwa dia.
Essi kashmakash mein rahy sada,
Tu ny yad rakha ya bhula dia.
Kabi baibasi mein hans diye kabi hansi ny hum ko rula dia.
kabi phool se rahi dosti
Kabi hath kanton se mila dia.
Kabhi aik ko apna na kr saky,
Kabhi khud ko sab ka bana dia.
Yun he din guzar gaye payar k,
Kabi ik khawab khud ko bana liya.
Jo khawab ubhray in aankhun main,
Unhain aankh me he sula dia.
Baarish huii to phuulon ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye
baadal ko kyaa khabar ki baarish ki chah mey
kitane buland-o-baalaa shajar khaak ho gaye
jugno'n ko din ke waqt paka.dane ki zid kare'n
bachchay hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
lehraa rahii hai barf kii chaadar hataa ke ghaas
suuraj kii shah pe tinke bhii bebaak ho gaye
suuraj dimag log bhii iblaag-e-fikr me'n
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
jab bhii gariib-e-shahar se kuchh guftaguu huii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye
saahil pe jitne aab guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke rukh badalate hii tairaak ho gaye
Comments
Post a Comment