“Ye Tumne Banaye Hain?” Usne Aaloo Ke Parantha Tod
Kar Munh Mein Rakha Aur Fauran Boli.
"Haan Bilkul" Maine Haste Hue Jawab Diya.
"Jhoothe Kahin Ke"
Aur Phir Vo Khilkhila Kar Has Uthi. Vahi Hasi Jiska Main
Deewana Tha. Vahi Hasi Jise Sune Bina Namera Din
Guzarta Tha Aur Na Raat Basar Hoti Thi. Vo Kuchh Lamhe,
Vo Kuchh Pal, Jab Vo Dil Khol Kar Hasa Karti Aur Mera
Haath Thaam Liya Karti, Jab Kabhi Haste Haste Uski
Aankhon Mein Aansoo Aa Jaya Karte, Jaise Meri Zindagi
Bas Unhi Kuchh Lamhon Mein Simat Kar Reh Gayi Thi.
"Arrey Sach Keh Raha Hoon, Maine Hi Banaye Hain
Tumhare Liye" Maine Phir Haste Hue Jhooth Bola.
"Subah Se Main Hi Mili Hoon Na? Na Aaloo Hain Tumhare
Ghar Mein, Na Aaloo Ubalne Ke Liye Cooker Aur Na Hi
Paranthe Banane Ke Liye Tawa. Ye Kya Hawa Mein Banaye
The?"
Uski Baat Ka Mere Paas Koi Jawab Nahi Tha Aur Vo Mere
Chori Pakde Jaane Wale Andaz Par Ek Baar Phir Has Padi.
"Lallu Ho Ekdam, Par Mere Ho"
“Chand Se, Phool Se, Ya Meri Zubaan Se
Suniye,
Har Taraf Aapka Qissa Hai, Jahan Se
Suniye…..”
Ek Main Tha Aur Ek Vo Thi. Aur Ham Tamam Duniya Se
Jaise Bekhabar Se The. Vo Hoti Toh Raunak Hoti, Vo Na
Hoti Toh Mayusi Hoti. Vo Hoti Toh Mehfil Hoti Aur Vo Na
Hoti Toh Veeraniyan Hoti. Vo Hasti Toh Mahaul
Khushnuma Ho Jaya Karta Aur Vo Bilakhti Toh Jaise
Aasman Phat Padta. Vo Mujhe Apna Kehkar Mera Haath
Thama Karti Toh Jaise Ek Doobte Ko Sahara Sa Mil Jaya
Karta Aur Jab Vo Haath Chhodti Toh Kadam Ladkhada Se
Jaate.
"Tum Jaante Ho Ladkiyan Kaise Bani?"
"Thodi Si Jalan, Thodi Si Kudhan, Thoda Gussa, Thodi
Chugliyan Aur Aisi Kayi Cheezon Ko Mila Kar Kadhai Mein
Fry Kiya Gaya Tab?" Maine Has Kar Jawab Diya.
"Shut Up. Duniya Ki Har Aurat Ek Mard Se Bani"
"Matlab?"
"Matlab Ye Ke Muslim Aur Christian Mythology Ke Hisaab
Se Khuda Ne Pehle Aadmi Ko Banaya. Phir Unhone Aadmi
Ke Left Side Ki Ek Pasli Nikali Aur Us Pasli Se Aurat Ko
Banaya"
"Hmmm, Interesting. I Wonder Meri Pasli Se Kaun Bani"
Maine Use Chidhane Wale Andaaz Mein Kaha.
"Mere Ghar Ki Naukrani Bani Tumhari Pasli Se" Kehkar
Usne Mera Haath Chhoda Aur Naraz Hokar Doosri Taraf
Munh Kar Liya.
Kehte Hain Ke Zindagi Chhote Chhote Kayi Qisson Ka Ek
Tana Bana Hai. Zindagi Koi Ek Lambi Si Kahaninahi Balki
Chhoti Chhoti Kahaniyon Ko Mila Kar Banayi Gayi Ek Kitaab
Hai. Ham Saari Umar Is Kitaab Ke Panne Palat-Te Hain Aur
Har Panne Par Ek Nayi Kahani Padhte Hain.
Par Meri Zindagi Ek Aise Mod Par Aa Khadi Hui Thi Jahan
Mere Har Panne Par, Har Safhe Par Qissa Toh Shayad Alag
Tha Par Har Kahani Mein Sirf Usi Ka Naam Tha. Har
Kahani Jaise Bas Usi Ke Naam Se Shuru Hua Karti, Usi Ke
Naam Par Khatam Aur Har Kahani Ka Saransh Bhi Vahi
Hoti.
"Kaisi Lag Rahi Hoon?" Usne Apna Webcam On Kiya Aur
Thodi Door Jakar Khadi Ho Gayi.
Aur Hamesha Ki Tarah Mera Dil Ek Baar Phir Se Dhadak
Utha. Usne Aaj Pehli Baar Saree Pehni Thi, Kisi Shaadi
Mein Jaane Ke Liye. Ek Hare Rang Ki Saree Jo Uske Gore
Rang Par Bahut Phab Rahi Thi.
"Bahut Khoobsurat" Main Bas Itna Hi Keh Saka Aur Apni
Palkein Tak Jhapkana Bhool Gaya.
Kya Aisa Bhi Kabhi Hota Hai? Kya Khuda Kabhi Kisi Par Is
Tarah Bhi Meharbaan Ho Sakta Hai? Kya Kabhi Koi Dua Is
Tarah Bhi Qabool Ho Jaya Karti Hai Ke Phir Uske Baad
Kabhi Zindagi Mein Aur Kisi Cheez Ki Zaroorat Hi Na
Mehsoos Ho? Ke Zindagi Muqammal Lagne Lage Aur Har
Takleef, Har Pareshani Pheeki Pad Jaaye? Kya Kabhi
Khuda Maangne Par Kuchh Is Tarah Se De Diya Karta Hai
Ke Phir Aur Kuchh Maangne Ke Liye Haath Kabhi Uthe Hi
Na , Sirf Sar Jhuk Jaya Kare Sajde Mein Shukr Ada Karne
Ke Liye?
Aur Mere Hazaron Aise Sawalon Ka Jawab Ek Vo Hi Thi.
Haan Vo Jise Shayad Khuda Ne Sirf Mere Liye Mere Jism
Ka Ek Hissa Nikal Kar Banaya Tha. Vo Jiski Aankhon Mein
Main Apna Aks Talash Kiya Karta Tha, Jiski Baaton Mein
Apni Zindagi Dhoondha Karta Tha Aur Jiski Aankhen
Mujhse Is Baat Ka Ehsaas Karati Thi Ke Meri Saanson Mein
Abhi Rawani Hai. Ke Mere Seene Mein Bhi Ek Dil Hai Jo
Uske Naam Par Dhadka Karta Hai.
"I Love You, So Much" Maine Uske Maathe Ko Chooma Aur
Uske Kaan Mein Dheere Se Kaha.
"Itna Mat Kaha Karo Please" Usne Phir Vahi Iltija Ki.
"I Know, I Know But I Cant Help It. Do You Know Why?"
"Why?"
"Because I Love You So Much" Maine Phir Apni Baat
Dohrayi.
"Oh Ho, Sunte Nahi Ho Na? Nazar Lag Jaati Hai"
Aur Uska Vo Darr Ke Mere Mohabbat Ke Baar Baar Izhaar
Karne Par Nazar Lag Sakti Hai. Yun Toh Un Lamhon Mein
Sirf Main Aur Vo Hua Karte Par Vo Phir Bhi Dara Karti Ke
Kahin Hamari Mohabbat Ko Hamari Hi Nazar Na Lag
Jaaye. Main Kabhi Chah Kar Bhi Use Ye Na Samjha Saka
Ke Uska Ye Darr Be-Maani Hai. Ke Main Toh Khud Hi Uske
Bina Zindagi Ek Pal Ganwara Nahi Kar Sakta. Ke Main Toh
Khudagar Kabhi Uske Siwa Raha Toh Adhura Reh Jaoonga.
"Phir Bhi, Mat Kaha Karo Itna Please" Vo Bechain Hokar
Aksar Mujhse Kaha Karti Aur Main Uski Baat Ansuni Kar Ek
Baar Phir Izhaar-E-Mohabbat Karta.
“Sabko Aata Nahi Duniya Ko Saja Kar Jeena,
Zindagi Kya Hai, Mohabbat Ki Zubaan Se
Suniye…..”
"Kya Kar Sakte Ho Mere Liye?" Vo Aksar Shokh Hokar
Mujhse Puchha Karti
"Kuchh Bhi"
"Kuchh Bhi Kya?"
"Kuchh Bhi Matlab Kuchh Bhi"
"Matlab Kuchh Bhi Nahi. Agar Bata Hi Nahi Pa Rahe Ho
Toh Karoge Kya Khaak?" Vo Zubaan Nikal Kar Mujhe
Chidha Diya Karti.
Aur Ye Sach Bhi Toh, Bilkul Sach. Main Kabhi Use Bata Hi
Nahi Saka Ke Main Kya Kar Sakta Hoon Uske Liye. Vo
Aksar Mujhe Ye Sawal Kiya Karti Aur Main La-Jawab Ho
Jaya Karta. Magar Haqeeqat Ye Thi Ke Main Kabhi Vo
Alfaaz Dhoondh Hi Nahi Saka Jo Mere Jazbaat Ki Bayaan
Kar Sake. Jo Kabhi Use Is Baat Ka Andaza Dila Saken Ke
Main Kis Qadar Use Chahta Hoon. Ke Mere Dil Ek Saaz Hai
Jo Har Dhadkan Ko Raag Bana Kar Sirf Uske Sur Mein
Gata Hai.
Ke Main Uske Liye Aur Sirf Uske Liye Ek Shehar Mein Jana
Chahta Hoon. Haan Vo Shehar, Vo Khushiyon Ka Shehar.
Jahan Suna Hai Ke Har Khushi Mil Jaya Karti Hai. Aur
Main Lana Chahta Hoon Ek Hasi Uske Labon Ke Liye,
Kuchh Laali Uske Chehre Ke Liye, Kuchh Shokhi Uski
Aankhon Ke Liye, Kuchh Resham Uske Baalon Ke Liye,
Kuchh Chand Uske Maathe Ke Liye, Kuchh Sooraj Uski
Baali Ke Liye, Kuchh Sangeet Uski Choodi Ke Liye Aur
Kuchh Khwaab Meethe Uski Raaton Ke Liye. Main Jana
Chahta Hoon Us Shehar Aur Har Vo Cheez Lana Chahta
Hoon Jiski Kabhi Use Khwahish Thi, Talab Thi. Par Kabhi
Us Shehar Se Main Vo Alfaaz Na La Saka Jo Meri Is
Tamanna Ko Kabhi Mere Lab Tak Le Aate.
“Meri Aawaz Hi Parda Hai Mere Chehre Ka,
Main Hoon Khamosh Jahan, Mujhko Vahan
Se Suniye…..”
"Neend Nahi Aa Rahi" Main Raat Ko Phone Par Baat Karte
Hue Aksar Shikayat Karta.
Aur Phir Vo Apni Meethi Aawaz Mein Koi Naghma
Gungunane Lagti. Aur Uski Aawaz Sunkar Meri Tamam Din
Ki Thakan, Tamam Vehshat Door Ho Jaati Aur Palken
Bhaari Hone Lagti. Kabhi Samajh Nahi Saka Ke Vo Yun Sirf
Mujhe Sulane Ke Liye Gaati Thi Ya Un Geeton Ki Zubaani
Mujhe Kuchh Kehna Chahti Thi. Kayi Baar Samajhne Ki
Koshish Ko Par Har Baar Zehan Hakla Mehsoos Hone
Lagta Aur Main Kuchh Samajhne Se Pehle Hi Neend Ke
Aagosh Mein Chala Jata.
"Maine Kaha Tha Na Nazar Lag Jaayegi, Dekho Lag Gayi"
Usne Phir Mujhse Shikayat Ki.
"Kuchh Nahi Hoga Tumhein, Kuchh Bhi Nahi" Maine Badi
Mushkil Se Apne Aansoo Roke Aur Uska Haath Thama.
"Jhoothe Kahin Ke" Vo Phir Usi Ada Se Muskurayi "Ek
Cheez Maangun Tumse? Karoge Mere Liye"
"Kuchh Bhi" Main Phir Vahi Jawab Diya.
"Aise Hi Rehna Hamesha, Cute Se. Kabhi Badalna Mat"
Badi Mushkil Se Apne Aansuon Par Ikhtiyaar Karta Main
Uske Kamre Se Nikla Aur Hospital Ke Corridor Mein Aakar
Bilakh Pada. Aansuon Ka Sailab Umad Pada.
Kya Aisa Bhi Kabhi Hota Hai? Kya Khuda Kisi Se Is Tarah
Bhi Naraz Ho Jaya Karta Hai Ke Apni Di Hui Cheez Yun Ek
Jhatke Se Chheen Le? Insaan Se Uska Sab Kuchh Yun Loot
Le Ke Phir Zindagi Bemani Lagne Lage? Ke Phir Aadmi Us
Chhote Bachche Ki Tarah Ho Jaaye Jisse Uska Man-
Pasand Khilona Chheen Liya Gaya Ho? Kya Kabhi Khuda
Yun Bhi Kabhi Mazak Karta Hai Ke Phir Kabhi Haath Dua
Mein Uthte Hi Nahi, Sirf Nazar Uthe Shikayat Karne Ke
Liye.
"Kya Karoge Mere Baad?" Vo Udaas Nazron Se Meri Taraf
Dekh Kar Boli, "Jab Raat Ko Neend Nahi Aaya Karegi Toh
So-Oge Kaise?"
Mujhse Kuchh Jawab Dete Hi Na Bana. Kya Kehta? Kaise
Batata Use Ki Main Kaise Jiyunga Uske Jaane Ke Baad
Jabki Mujhe Khud Hi Nahi Pata Tha. Sirf Khamosh Khada
Main Uske Chehre Ko Dekhta Raha Jahan Se Zindagi Ki
Rangat Ko Maut Dheere Dheere Chura Rahi Thi. Vo Jiski
Aawaz Kabhi Mujhe Loriyan Bankar Sukoon Se Sula Diya
Karti Thi Aaj Khud Ek Lambi Neend Sone Ki Taiyyar Kar
Rahi Thi Aur Main Chah Kar Bhi Kuchh Kar Nahi Pa Raha
Tha.
" Dekho Mere Baad Bhi Khush Rehna Please. Meri Yaad Ko
Aansuon Mein Mat Bahana. Tumhari Hasi Bahut Anmol Thi
Mere Liye, Is Hasi Ko Qayam Rakhna Varna Meri Rooh
Sukoon Se Na Reh Sakegi"
Aur Usne Jaate Jaate Kuchh Aisa Maang Liya Jisne Mujhe
Do Tukdon Mein Baant Diya. Ek Tukda Jo Uske Jaane Ka
Gham Karna Chahta Tha, Rona Chahta Tha, Zindagi Se
Bezaar Hona Chahta Tha Aur Doosra Tukda Jo Jo Uski
Aakhri Maangi Hui Cheez Use Dena Chahta Tha. Jo
Aansuon Ke Sailaab Ko Rokna Chahta Tha Aur Chehre Par
Ek Nakli Hasi Qayam Rakhna Chahta Tha.
Aur Phir Us Khoobsurat Jism Ko Ek Safed Chadar Mein
Lapet Kar Uske Uper Mitti Daal Di Gayi Aur Main Khamosh
Khada Dekhta Raha. Dekhta Raha Ke Kaise Vahan Khade
Us Hujoom Ne Kis Bedardi Ke Saath Use Zameen Mein
Chhod Diya, Tanha Akela. Ek Vo Jiske Aanchal Ko Bhi Main
Kabhi Zameen Nahi Chhune Deta Tha Aaj Use Mere
Saamne Hi Supurd-E-Khaak Kar Diya Gaya. Aur Main
Khada Bas Dekhta Hi Reh Gaya.
Aur Jaate Jaate Vo Phir Ek Baar Khud Ko Sahi Saabit Kar
Gayi. Ek Dard Ki Tez Lehar Se Uthi Mere Dil Mein, Mere
Seene Ke Baayin Taraf Aur Phir Samajh Aaya Ke Aisa Kyun
Hua. Mere Jism Ka Ek Hissa Aaj Mujhse Chheen Liya Gaya
Tha. Ek Vo Jise Mere Seene Ka Ek Hissa Nikal Kar Banaya
Gaya Tha Aaj Vo Mitti Mein Dafan Thi. Aaj Main Adhoora
Tha, Mera Jism Adhoora Tha. Pareshan Main Tha, Takleef
Mein Main Tha, Vehshat Mein Mera Dimag Tha Par Takleef
Mere Seene Mein Hi Thi, Baayin Taraf Jahan Se Shayad
Kabhi Use Banaya Gaya Tha. Aaj Mera Vo Hissa Mujhe
Alag Tha, Mujhse Judaa Ho Gaya Tha Aur Pichhe Reh Gayi
Thi Sirf Ek Kabhi Na Khatam Hone Wali Kami, Ek Takleef.
“Kya Zaroori Hai Ke Har Parda Uthaya
Jaaye,
Mere Haalat Bhi Apne Hi Makaan Se
Suniye…….”*GS*
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment