Ishq ki saja mili muje, zakham lage kuch aise dil par,
Agar chipata toh jigar jata aur sunata toh bikhar jata.

Wo saath tha humare ya hum paas the uske ?
Wo zindagi ke kuch din ya zindagi thi kuch din ?

Mesal-e-aatish hai ye rog-e-mohabbat,
Roshan to zarur karti hai magar jala-jala kar.

Mere khuda mujhe lakho me chaant ke de de,
Ek aisa insaan jo kanto pe bhi sath chalta ho.

Rote hain tanha dekh kar mujhko wo raaste,
Jin pe tere baghair main guzra kabhi na tha.

Ab bas khatam bhi karo ye bazi-e-ishq ki,
Muqaddar ke hare huye kabhi jeeta nahi karte.

Fir nahi baste wo dil jo ek baar ujad jate hain,
Kabrein jitni bhi saja lo, par koyi zinda nahi hota.

Chod de ab usse wafa ki umeed,
Jo rula sakta hai wo bhula bhi sakta hai.

Use ko to bichadne ka tarika bhi nahi aata,
Jate jate khud ko mere dil me hi chod gaya.

Comments
Post a Comment