Aaj Asma Ke Us Sitaron Se Uski Fir Se Mulaqaat Ho Gayi....
Dekhte Hi Wo Use Bechain Se Ho Gaye.....
Usse Kehne Lage.....
Kyu Ab Hame Tera Deedar Nahi Hota...?
Wo Teri Chanchal Si Hasi Kaha Kho Gayi...?
Kaha He Wo Tera Mehbub Jo Roj Aata Tha...
Wo Teri Masum Mahobbat Kaha Kho Gayi...?
Khaamosh Raha Wo Kuch Keh Na Paya....
Dard Se Ojhal Uski Dhadkane Ho Gayi....
Pucha Fir Taaron Ne Bata Kya Hua Tujko....
Wo Teri Jannat Si Dunia Kaha Kho Gayi.....?
Kese Kehta Wo Dunia Jo Kabhi Basayi Thi.....
Wo To Bikharkar Kab Ki Raakh Ho Gayi....
Wo Jo Mehbub Uska Hamsaaya Tha....
Uski To Yaade Tak Aankho Se Beh Gayi.....
Wo Jo Zindagi Uski Jannat Si Hua Karti Thi.....
Wo To Kab Ki Maut Ki Baaho Me So Gayi.....
Khaamosh Use Dekh Wo Sitare Fir Ro Pade....
Kehle Lage.....
Teri Zindagi Kya Thi.. Aur Aaj Kya Se Kya Ho Gayi......
Fir Vo Ladka Roj Raat Ko Rota Rahta Aur Un Sitaron Se Apni Jaan Ko Vapas Magta...... Fir Ek Din............
Aaj Raat Aasman Me Ek Nazara Mene Dekha...
Fut Fut Ke Ro Raha Ek Sitaraa Mene Dekha...
Pucha Bata Aye Aasma Pe Rehewala Tuje Kya Hua...?
To Aasma Pe Likha Fir Uska Fasanaa Mene Dekha.....
Keh Raha Tha Wo Ki Use Aaj Apno Ko Chor Jana He....
Kisi Bebas Ki Dua Ki Khaatir Use Zamee Par Aana He....
Mene Kha Kyu Kisi Gair Ki Khaatir Apno Ko Chor Chala He....
Zamee Pe Pahuchne Se Pehle Hi Tuje To Chur Chur Ho Jana He....
Sunke Fir Uska Jawab Meri Aankho Se Aansu Beh Gaye....
Fir Pata Chala Kyu Aasma Par Hi Un Sitaaro Ka Thikana He....
Kaha Usne Aye Nadaan Waaqif Teri Is Baat Se Me Bhi Hu....
Ki Mera Anzaam To Aakhir Tutkar Bikhar Hi Jana He...
Par Tu Na Jane Is Dunia Me Bahut Dur Kahi Ek Shaher Me....
Kisi Ki Mahobbat Me Madhosh Ek Pagal Deewana He....
Jo Har Raat Suraj Ke Dubte Hi Apne Hatho Ko Uthakar.....
Roti Hui Aankho Se Usne Bas Apne Mehbub Ko Manga He.....
Aaj Tak Uski Duaao Ko Sunke Bas Me Muskurata Raha.....
Par Aaj Us Deewane Ne Karne Ka Kuch Aur Hi Thaana He.....
Kaha Usne Aaj Mujse Ki Aye Aasma Par Rehnewalo....
Duaaye Mangte Mangte Hua Ab Muje Zamana He.....
Na Hi Mere Yaar Ki Koi Khabar Na Hi Koi Ehsaas He.....
Aasma Par Rehkar Tum Logo Ko Bas Muskurana He....
Aaj Aakhri Ibaadat Meri , Aakhri Meri Duaa Sunlo..
Kyuki Aaj Ka Din Meri Zindagi Ka Aakhri Paimaana He..
Kaha Sitaare Ne Mujse Dekh Ye He Uski Baate...
Ab Ki Muje Uske Liye Kuch Kar Ke Dikhana He....
Gar Chor Di Usne Zindagi Apni To Qayamat Hogi....
Muje Aasma Ki Hukumat Ka Aaj Taaj Bachana He.....
Sirf Uski Aur Uski Paak Mahobbat Ki Khaatir Aye Aaj Khud Ko Kurbaan Kar Use Uska Mehbub Lautaana He.......

Comments
Post a Comment