Sardiyo ka maosam tha.
ek budi aorat apne ghar ke ek kone me baithi sardi se kapkapa rahi thi.
jawani me hi uska husband mar gaya tha. uska ek beta tha. us bete ke
liye wo ghar -ghar jakar kam karti thi. jab beta jawan hua to bete ko
achchhi naokari mil gayi. phir kuchh dino ke baad usne apne bete ki
shadi kar di. Kuchh salo ke baad uske ghar ek bachcha paida hua aur wo
budi aorat bahut khush thi. Kyunki usko laga ki ab uska beta ek layak
insan ban gaya hai. ...
lekin yeh kya. ...waqt badla
ab bete aur bahu ke paas budi maa se baat karne ka bhi
samay nahi tha. pahle wo bahar ke gharo ka kam karti thi aur ab apne
ghar ke kam se fursat nahi milti thi. phir bhi wo budi aorat khush thi
kyunki aulad uski thi. ...
sardiyo ke maosam me ek charpai par ghar ke bahar bale kamare me purane se kamble me simatkar wo budi aorat leti thi. aur soch rahi thi. ......
aaj bete se kahungi mujhe bahut sardi lagati hai. ek naya kamble la de.
jab sham ko beta ghar aaya to budi aorat ne kaha -: beta ab mai bahut budi aur kamjor ho gayi hu, mujhse sardi bardast nahi hoti isliye mujhe naya kamble

itna sunte hi beta gusse se bola -: is mahine rasan aur bachche ke admission me bahut kharch ho gaya, aur tumhari bahu ke liye ek nayi sawl bhi lani hai. Kyunki wo bahar jati hai aur tum to ghar me hi rahti ho sardi bardast kar sakti ho. agli sardiyo me la dunga. ..
bete ki baat sunkar maa chupchap purane kamble me simatkar so gayi. .
jab subah bete ne dekha to maa is duniya se ja chuki thi.
phir sab ristedar, padosi jama huye aur bete ne maa ki aakhiri bidai me koi kami nahi rakhi thi.
yeh dekhkar sab kah rahe the -: hume bhi khuda aisa hi beta de. ...
lekin un logo ko kya pata tha ki marne ke baad bhi ek budi maa tadap rahi thi sirf ek kamble ke liye
Comments
Post a Comment