Ek Titli Udha Karti Thi Baaghon Mein
Bekhabar...
Rangon Mein Beshumar Thi Hasti Mein Tha
Hunar...
Har Raah-O-Gulshano Me Faqat Mehka Karti
Thi...
Wo Bekhabar Titli Jis Raah Rukhsaar Kiya
Karti Thi...
Huyi Mohabbat Ki Jang.. Aur Dil Haar Baithi
Wo...
Dekha Ek Gulab, Toh Use Apna Jivansathi
Maan Baithi Woh...
Khwaabon Ke Unche Makaan Uske Banne
Lage...
Bin Seedhiyon Ke Raaste Aasman Chadhne
Lage...
Magar Haqiqat Ko Manzoor Na Tha Ki Aisa
Ho...
Ki Titli Ko Mile Humraah Jo Gulaabon K
Jaisa Ho...
Kismat Pe Yaqeen Titli Ko Kuch Hadd Se
Jyada Tha...
Toota Phir Bharosa Jo Khayaalon Mein
Aadha Tha...
Chhuta Sath Unka Toh Chah Kr Bhi Phir Na
Mil Wo Paaye Kabhi...
Hokar Juda Ek Duje Se Magar Rah Na Paaye
Kabhi...
Har Khilti Kali Ko Ek Hi Salaah Deta Hai Vo
Gulaab...
Na Karna Mohabbat Toot Ke.. Aur Na Banna
Kabhi Mehtaab...
Haan Bikhar Jaoge Tinka Tinka Tum Hawa
Ke Jhonke Se...
Na Aana Kabhi Mohabbat Ke Tum Changul
Mein Dhokhe Se...*GS*
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment