Uska aur mera sath kuchh is liye bhi chhuta...
Khuchh hmara bhi to dil kuchh unka bhi toota...
Wo gadi banglo aur arbo ki ekloti varis thi....
Yaha 2 kamre ke mkan ke lone ke liye roz hoti bank
me gzarish thi...
Usne kapdo ke alag alag brand se ghar ko
showroom bnawaya tha...
Yaha do jeans thi jisme se ek to usi ne tohfa me
dilaya tha....
Uski mahfil lagti bade bade mahlo me...
Yaha dhabe pe baithne ke liye chnda ikatha karte
the...
wo ek raat me hzaro uda ke parvah nahi karti...
yaha 100 ka not khrachne me bhi hum darte the...
uske naukro ke paas bhi gadiya thi...
yaha hum paidal hi pure shahar ka muaina karte
the...
kaha kabhi nahi usne ke tum gareeb ho...
magar kisi ke samne apna kahne me use sharm
aati thi...
sari galti kismat ki kaise nikal de...
kuchh sath hmara amiri garibi ne bhi toda tha....
chahe jitna mai use pyar karu dost...
magar sach ye hai ke us ne meri garibi ko dekh kar
hi mujhe chhoda tha...
magar wo pachhtayegi us din jab meri kabliyat ka
use ahsas hoga...
meri daulat ke share mere pas to bahut honge
magar uska saya bhi na uske pas hoga...
thoda sa kar sabar bas kismat ka fer hai...
rab ke ghar der to hai magar nahi andher hai..*GS*
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment