Skip to main content

*-* $@muπ@r:;


ek din ek ladka aur ek ladki sath sath beach par chal rahe the. Dono kai salon se ek dusre ke boy-friend aur girl friend the. Itne dinon tak sath rahne ke bad bhi ladke ne kabhi bhi ladki ko I Love You nahi kaha tha.
Ladki ne dheere se fir us ladke ko kaha – dekho,mujhe tumse ek bat kahni hai. Ladke ne kaha  ki han, bolo, to ladki ne kaha ki tum jante ho main tumhen bahut pyaar karti hun, I love you so much.

Ladke ne kaha – achcha!

Girl – main tumhe dilo-jaan se chahti hun. Ek bat yad rakhan ki ham hamesha ek sath rahenge. Main hamesha tumhara sath nibhaubgi.

Boy – main aakhiri sans tak tumhe protect karoonga. Tumhen kuchh hone nahi dunga. jab tak main jinda hun tumhara bal bhi banka nahi hone dunga. Tumhe duniya ki har musibat, har pareshani se bacha ke rakhunga.

Girl – jab main tumhe kahti hun ki main tumhe pyar karti hun tab bhi tum kabhi ye kyun nahi kahte kit um bhi mujhe pyar karte ho. Main janti hun kit um mujhse pyar  karte ho, par kabhi kahte kyun nahi. Agar kabhi mujhe I Love You kah doge to kya ho jayega?

Boy – maine kaha na, mujhe apni jan bhi deni pade to bhi main tumhe kuchh hone nahi dunga.

Girl – tum ek bar bhi mujhe ye nahi kah skte ki I love you aur bat hi karte ho bas. Jao, main tumse nahin bolti.

Ladke ne ladki ka hath apne hathon men liya aur dono chupchap samandar ke kinare chalet rahe. Bahut der ho gayi aur sham ho gayi. Samandar mein bahut oonchi lahren uthane lagi. Lekin dono ekdam bekhabar ek dusre ke sath aise hi hathon men hath dale chalet rahe.

Achanak ek bahut unchi lahar aayi aur us ladki ko jhatke se apne sath samandar mein kheench le gayi. Ladke ne jaise hi ye dekha to turant uski taraf chhalang laga di aur tair kar ladki ke pas pahunch gaya. Usne us ladki ko apne upar lekar kinare ki aur tairana shuru kar diya. Bahut tej tej lahren uth rahi thin jaise ki koi tufaan aa gaya ho. Bar bar lahren us ladke ko vapas samandar ki aur dhakel deti. Uski sans fool gayi, pani pet mein jata raha lekin usne har nahin mani aur aakhir kinare tak pahunch kar usne ladki ko ret par lita diya aur thak kar nidhal ho vahin gir pada.

Kafi der bad ladki ko jab hosh aaya to usne dekha ki uska boy friend pass hi men pada hai. Usne ja kar dekha to us ke dost ki jaan ja chuki thi. Samandar ki takat ke samne uska heart javaab de gaya tha.

Ladki ro padi. Bahut der usne apne aap ko sambhala aur ladke se boli – tumne apna vada nibhaya kit um apne jeete ji mujhe kuchh nahin hone doge. Ab main apna vada nibhati hun. Hamen koi ek dusre se juda nahin kar sakta.

Yah kah kar vo uthi aur samandar ki aur chal padi. Dheere dheere uske kadam samandar mein chalet gaye aur kuchh hi der mein vo samandar ke aagosh mein sama gayi.

Lekin hakeekar yahi hai ki fir vo dono hamesha hamesha ke liye juda ho gaye kyun ki vo fir kabhi nahi mil paye.

Frnds blog per lagi love story wali ads per click jarur karna bhut se bachey achi life Jii payege.

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरियाँ मेरी आँखोँ से निकले! ये जिन्दगी तुमहेँ सदा हसती हुई निकले, अगर चाहे तो हमेँ रुलाती हुई निकले! अगर जिन्दगी मे जीना पडे तेरे बिन, तेरी डोली से पहले अर्थी मेरी निकले! आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले...!

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban