Skip to main content

>>> K@£yugi b€t@<<<<

Kahani batata hu mai ek baar ki...
ye batayegi had tumko maa ke pyar ki...

kisi shahar me ek beta rahta tha apni maa ke saath...
uske sar pe hi rahta tha aksar maa ki duao ka haath...

magar buri sangat se wo is kadar se jakda hua tha...
chori ki aadat nashe ki lat ne use pakda hua tha...

maa bacho ko padha padha ke thi pet paalti...
har waqt sochti thi ke kaise har khwahish ho puri mere laal ki...

bete pe tha maa ko vishwash bhagwan se jyada...
bete ki ek muskurahat kar deti thi uske dukho ko aadha...

bitatte gye din beta aur bigadne laga...
paiso ke liye budhi maa se tha ladne laga...

maa tab bhi uss se koi gilla nahi karti thi...
uski har khshi ko pura karne ke liye khoob mehnat karti thi...

magar bete ke shokh utni daulat se pure na pade...
hamesha usko lutne wale dost rahte the uske pichhe pade...

ladka ek din dosto ko smjhane laga...
budhiya ke paas kuchh bhi nahi ye batlane laga...

tab bich baat ko kaat kar uska ek dost tha bola...
"maa teri daulat ko chhupa kar tujh se jhoth bolti hai mere dost tu to hai bada bhola"

ja ye le khnajar budhiya ko khtam kar ke tu aa...
uski jitni daulat usse se aish tu uda...

bete ke dimaag me dosto ki bakwas ghar kar gyi...
maa ko maar sari daulat le lunga mai ye baat uske sar chadh gyi...

beta utha nashe me madhhosh sa hua...
chla gya wo maa ke kamre me behosh sa hua...

ek war khhinch kar khanjar ka usne maa ke dil ke paar kar diya...
maa bete ke rishte ko usne maa ke khoon se tar tar kar diya...

par jab dekha bete ne to maa pahle se hi mari padi thi...
uske sirhane me ek jahar ki botal aur ek chhithi padi huyi thi...

uss chithhi ko wo zalim beta padhne laga...
padhta padhta wo khud hi zameen me tha gadne laga...

chithhi me maa ne likha tha ke beta maine zahar kha liya hai...
apni tamaam umar ke pyar ka badla tere irado ko jaan kar paa liya hai...

bada afsoos khud pe aata hai mujhe...
ke na saki pura pyaar mai tujhe...

tabhi to tujhe daulat ka itna nasha chadhh gya...
isi liye tu buri sangat bure kamo me fas gya...

almari me rakhi hai ek laakh ki daulat...
jo maine jama ki thi teri shadi ke liye...

baaki ki daulat to tu tha meri..
magar teri aadato me daulat loot li meri...

maine pahle zahar isliye khaya hai...
kahi zamana na kah de ke bete ne maa ka khoon bahaya hai...

tujhe bachane ke waste maine zahar pee liya...
tu aab bhi khush rahe mai ye karti hu dua...

beta itna jaan kar tha paglo ki tarah rone laga...kahta phirta tha har tha sab se maine maa ka khoon kar diya...

din par din uski dimaagi halat thi bigadne lagi...
zmane ki lahnat thi uss pe padne lagi...

aise paglata paglata wo ek din mar gya...
magar bete ke rishte ko wo lalach ke liye badnaam kar gya...

dua karta hun mai ke ye bas kahani rahe...
sach me kisi maa ke aankh me bete ke liye iss tarah ka na pani rahe...

karo uski seva uske kadmo me jannat basti hai...
khuda har baat puri karta hai jab tumhari vajah se maa hasti hai.....

Agar yeh story pad kar aapko aise bete per gussa aaya ho to plz send me Frnd req.

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरियाँ मेरी आँखोँ से निकले! ये जिन्दगी तुमहेँ सदा हसती हुई निकले, अगर चाहे तो हमेँ रुलाती हुई निकले! अगर जिन्दगी मे जीना पडे तेरे बिन, तेरी डोली से पहले अर्थी मेरी निकले! आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले...!

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban