Skip to main content

':*Mohabbat ka rang--


aao hum ek khani tumko sunayenge...
mohabbat kitni beraham hai tumko btayenge...
ek baar ek ladka tha jo pyar kisi se karta tha...
ladki bhi use chahti thi magar uska dil kahne se
darta tha...
aise hi mulakato ka silsila badhta rha...
dono ke dil me pyar palta raha...
ek din ladke ne mohabbat ka izhar kar diya...
jo tha uske dil me ladki se wo sab kah diya...
ladki ne bhi sharam se ankhe jhuka li...
ladke ne ladki apne gale se laga li...
din guzrte gye pyar badhta gya...
ek dusre ka pyar un dono ke dil me ghar karta
gya...
achanak se ek din ladke ne ladki ko bulana chhod
diya...
ladki ki khushio ne mano us se muh hi mod
liya...
ladki ghar uske jati milne ke liye use manati...
magar wo inkar kar deta ladki ko ghar se bahar
kar deta...
ladki ke dil me bhi ab thoda gussa sa agya...
use na bulane ka ladki ne man bna liya...
kuchh waqt bita to ladki ki shadi kisi doctor se
hogyi...
sare sapne liye ladke ke liye wo bhi roti huyi ghar
se wida hogyi...
dhire dhire ladki apne ghar ke kam kaj me
kashroof hogyi...
yaad to ab bhi aati thi magar ab jan bhoojh kar
wo girhasti me khogyi...
ek din wo apne pati ke sath uske hasptal
pahuchi...
ladke ki maa ko dakhi ek kamre me wo buri tarah
chunki...
ladke ka baap kamre ke bahar khda tha...
uska haal ek dam bura sa lag rha tha...
ladki ko dekhte ladke ka baap pahchan gya...
magar muh fer kar us se wo ban anjan gya..
magar ladki ne bhi jaa kar unhe bula liya...
baap ki aankho ne hal sara ladki ko smjha diya...
usne puchha ke ye kya majra hai...
maa kio andar padi hai aapka muh kio utra hua
hai...
ladke ke bare me bhi wo puchhe ja rahi thi...
baap ki ankho se barsat ho rahi thi...
ladki ki zidd ke aage use jhukna pada...
shuru se ab tak ka haal use kahna pada...
darasal ladke ke dimag me ek tumar hogya tha...
wo din pe din zahar ki tarah uske andar khogya
tha...
wo chahta nhi tha ke ladki ki zindagi barbaad
hojaye...
mere marne ke baad wo mere hi khyalo me kho
jaye...
isi liye usne ladki se achanak milna chhod diya...
na chahte huye bhi ladki se muh ko mod liya...
ek din ladka tumse milne bhi gya tha...
dekha tumhari shadi hai to wo laut aaya tha...
dhire dhire uske tumar ne uski jaan le li...
ye sadme ki baat uski maa ne na jheli...
kuchh din pahle ladka tumhara naam lete huye
mar gya...
ek khat pada tha uske kamre me jo wo tumhare
naam kargya...
uske hi shok me uski maa hasptal me padi hai...
bete ke liye dekho aaj mujhe akela kiye ja rahi
hai...
sunte hi itni baat ladki behosh horhi thi...
dil fat rha tha uska aankh uski ro rahi thi...
ghar jate hi usne dawa ke naam pe goliya zahar
ki kha gyi...
jo wade sath jeene marne ke kiye the wo unhe
nibhagyi...
mohabbat apna rang dikha gyi...mohabbat apna
rang dikha gyi.

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरि...

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban...