Skip to main content

Touching sad story


Ek ladka ek ladki se bahut pyaar karta
tha,
Ladki bhi ladke se bahut pyaar karti thi,
Donon har samay ek sath hi rahte the,
Ladka bahut hi romantic nature ka tha,
Vo har roz us ladki ko ek poem likh kar deta tha,
Is tarah se us ladke ne ladki ko 1000 poems likh kar di,
Vo ladka us ladki ke papa ki company mein hi
job karta tha,
Vo bahut smart bhi nahin tha aur
uska future koi bahut bright nahin tha,
Par tha vo mehnati,
Apna har kaam hamesha pura kiya karta tha,
Lekin ek din us ladki ne ladke se kaha ki ab
hamara rishta aur nahin chal sakta,
Mujhe nahin lagta ki tumhare sath mera koi future hai,
Ladke ke dil par badi chott lagi,
Lekin usne kuchh kaha
nahin,
Vo chupchap apne ghar laut aaya,
Kuch din to woh bahar kahin nahin gaya,
job par bhi nahin,
Lekin fir usne faisla kiya ki vo apna future bana
ke rahega,
usne ladki ke papa ki company se resign de kar apna khud ka business shuru kar diya,
Usne din raat mehnat ki,
Na din dekha na raat,
bas kam kam kam,
Aur fir ek din aaya jiska use intzaar tha,
Uski company itni badi aur profitable ho gai ki uski company stock exchange mein listed ho gai,
Apni company ki stock listing ki party ke agle din
vo us ladki ke ghar gaya, Usne socha ki ab us
ladki ko man’na padega ki mera bhi kuchh future
hai,
Main bhi kuch ban chukka hoon,
Lekin jab vo us ladki ke ghar gaya to use dhakka
laga,
Use us ladki ke parents ne bataya ki us ladki
ko cancer tha aur woh to un donon ke separation
ke 2 mahine baad hi mar gai thi,
Ab us ladke ki samajh mein aaya ki uski girlfriend ne use dhokha nahin diya tha,
Usne ye nahin kaha tha ki us ladke ka koi future nahin hai,
Usne kaha tha ki us ka khud ka future us
ladke sath nahin hai,
Use cancer tha aur ye baat
use pata thi ki woh apne boyfriend ka sath zindagi bhar nahin nibha payegi, Isiliye usne uska sath chhorne ka bahana kiya jis’se uske dost ko
dil pe dukh na ho,
Us ka dil roj roj na tute,
Woh ladka apne pyaar ko yaad karke ro pada aur kah utha..I Love You..
Aaj bhi main jo bana hoon,
sab tumhare pyar ki vajah se,
Par aaj tum mere
sath nahin ho to meri is success ka kya fayda…
True Love Can Never Cheat So friends,
hamesha apne pyaar pe bharosa
rakhana chahiye,
apne dost ki baat ko aise hi dil
pe nahin lena chahiye balki ek bar sochna
chahiye ki usne aisa kyun kaha,
varna zindagi
bhar aise hi pachhtana padega jaise us ladke ko
pachhtana pada aur uski love story ek sad love story mein badal gai…

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरियाँ मेरी आँखोँ से निकले! ये जिन्दगी तुमहेँ सदा हसती हुई निकले, अगर चाहे तो हमेँ रुलाती हुई निकले! अगर जिन्दगी मे जीना पडे तेरे बिन, तेरी डोली से पहले अर्थी मेरी निकले! आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले...!

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban