maine bhi kisi se bahot pyar kiya tha aur aaj bhi
karta hu.uske har jhuth ko maaf karta raha kyoki
usse bepanah pyar karta tha.har lamha bas ushi ke
naam se bitta tha.kabhi kabhi uske jhuth se dil ko
bahot dukh pahuchta tha par jaise hi wo samne aati
mai sab bhul jata tha.mujhse pehle bhi uski life mai
koi tha lekin usne kaha ki abhishek maI sirf tumse
pyar karti hu.maine bola theek hai.mai bhi usse
bahot pyr karne laga, usse milne k bahane dundta
rehta tha, uske liye jitna bhi kar du kam lagta tha,
meri puri zindagi bas ushi irdgird simat gyi thi.bas
usse dekh bhar lene jaan aa jati thi.pehla pyr tha
aur aakhri bhi isliye lagta tha usse kabhi koi kami
na hone paye.mai uska pehla pyar nhi tha par
hamesha yhi sochta tha ki uska pehla pyr nhi ban
saka to kya hua uska aakhri pyr ban jau ki mere
baad usse koi aur accha hi na lage.mujhe bura lagta
tha jab wo us ladke se baat karti thi par maine kabhi
usse mana nhi kiya ki usse baat mat kiya kar bas
itna hi bolta tha ki kam baat kiya kar.par mujhe apne
pyr pe yakeen tha.apne har dost ko challenge karta
tha ki ye ladki kabhi mujhe chod ke nhi ja sakti.wo
khud bolti thi ki abhishek tum mere bina jee nahi
paoge.aur maI har challenge haar gya.wo mujhe
chod k us ladke k pass cali gyi.aur mai dekhta hi
reh gya kuch bhi nhi kar paya.kai baar usse call kiya
par wo mera call receive nhi karti thi.pehle usne
mere pyar k sath khela phir mere dil ke sath aur
phir meri zindagi ke sath.jisko ek din bhi dekhe bina
nhi reh sakta tha aaj uski aawaz sune hue bhi
mahino ho gye.bahot roya bahot tadpa uske liye.phir
socha khud ko hi khatam kar lu to ye dard bhi
khatam ho jayega.dosto mai 14 din tak icu mai
ventilator par aadmit rha.mere bach pane k chance
bahot kam the.mujhe to hosh bhi nhi tha. Par jab
hosh aaya to uske bare mai pucha to ye sunn ke
acha laga ki wo achi hai.aur ye sun k dukh bhI hua
ki usne ek pal k liye bhi mera halchal lena jaruri nhI
samjha.dosto
Kya is duniya maI pyr bas ek khel hai?
Kya kisI ko pyr karna gunah h?
Agar maine apne pyr ko apni jindagi banayi to kya
gunah kiya?
Kyo usne mere sath dushmano se bhi battar salak
kiya?
Dosto aise kai sawal din raat is dil mai chubte rehte
hai par aaj tak uske jawab mujhe nhi mil paye
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment