Skip to main content

Posts

Love story

Love Story :- Ek ladki apne boy frnd se park me rojana milne jaati thi , ladki roz time par pahuchti thi … Lekin ladka hamesha let pahuchta tha , lekin ladki kabhi usse naraj nhi hoti thi , ek din ladki park me nahi aayi to ladka gusse me uske ghar gaya , waha pata chala ki ladki ko, Blood cancer ,hai , or wo sirf 5 ya 6 din zinda rahegi , ladka ghar pahucha aur ladke ne sucide kr li ! ! , Aur ladki ke liye ek letter chod gaya,us letter me likha tha , , Tum mera hamesha wait krti thi aur mein roz late aata tha lekin aaj main tumse jaldi pahunch raha hunor tumhara wait karunga…. Ho sake to aaram se aana…*GS*

Mere ghr b

Meri Jaan Kal Mere Bhi Ghar Me Teri Barat Jitni Rounak Hogi... Har Ek Ki Ankhone Mujhe Fir Se Bula Ne Ki Hasrat Hogi... Ye Dekh Ek Tere Liye Kitno Ka Dil Tode Ja Rha Hu... Tere Siva Kisi Aur Ka Na Hone Ka Mai Wada Nibha Rha Hu... Teri Baarat Me Koi Nhi Aayega Sab Mere Jnaze Me Honge... Tere Shahar Wale Bhi Meri Aashqi Ke Mariz Hogye The... Teri Mehndi Ka Rang Bada Lal Hoga... Mere Jigar Ka Khoon Jo Apne Hatho Pe Sjaye Huye Hai Tu... Mujhe Dikha Kar Na Jane Kitne Haseen Sapne... Kisi Gair Ko Apna Bnaye Huye Hai Tu... Teri Gali Se Jab Guzrega Janaza Mera... Rone Ki Awaz Me Barat Ka Shor Gul Kho Jayega... Aaj Mai Hone Ja Raha Hu Mout Ka... Kal Tu Bhi Kisi Aur Ka Ho Jayega.....*GS*

Jameen ke nicey

Ek bar suno kuch Esa hua Wo mujhko mili me us ko mila Izhar hua Iqrar hua Wo chahne lagi me chahne laga Use pyar bohat Mujhy pyar bohat Phir kuch yun hua wo chorr gai mai tott gaya phir kuch yun mile wo tanha thi me akela tha bas hum do the or koi na tha wo rone lagi me bebas rha na pyar na hi izhar rha bas farq sirf itna sa rha Wo Mitti k Upar thi my Mitti k nechy Tha...*GS*

Ghar lout aana

Jab Dhalti Shaam Mein Dil Ghabaraye , Tum Ghar Lout Aana.... Jab Dil Mein Koi Baichini Se Badh Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Palkein Bichhaye Aaj Bhi Intzar Mein Rehti Hai Teri Maa.... Tujhe Kabhi Bhule Se Maa Ki Yaad Aaye, Tum Ghar Lout Aana.... Bachpan Guzara Tha Jis Aangan Mein Tumne Khel Khel Kar.... Jo Yaad Kr Us Aangan Ko Ashk Beh Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Maa Aaj Bhi Bana Kar Rakhti Hai Teri Pasand Ke Pakwan.... Bahar Khane Se Jo Bhukh Na Mit Paye, Tum Ghar Lout Aana.... Rakhi Ka Dhaga Le Bhai Ke Intzar Mein Gumsum Baithi Hai Behna.... Gar Yeh Dhaga Apnepan Ka Ehsas Dilaye, Tum Ghar Lout Aana.... Kandhe Bitha Jisne Dunia Dikhai Wo Aaj Bhi Teri Raah Takte Hain.... Jab Dunia Ki Chakachoundh Se Dil Bhar Jaye, Tum Ghar Lout Aana.... Maa Baba Ki Zuban Kuch Na Kahe Par Nam Aakhein Sab Kehti Hai.... In Aansuon Ki Jab Tumhe Qadr Samjh Aaye , Tum Ghar Lout Aana..*GS*

Ek Haseen swal

Na Dekha Na Jana Jo Dil Me Uske Khayaal Tha... Puchha Ek Din Maine Usse Ek Haseen Sawaal Tha... Badi Dilnashi Andaaz Me Mila Uska Jawaab Mujhe... Ulajh Jaye Wo Meri Mohabbat Me Maine Buna Aisa Jaal Tha... Pehli Barish Me Maine Jo Kiss Liya Tha Uske Hontho Ka... Ush Din Mera Yaar Khushiyon Se Maalamaal Tha... Kar Liye Waade Saath Jine Ke Aur Marne Ki Humne... Kaise Mile The Hum Ye To Bas Taqdeer Ka Kamaal Tha... Ab To Unhe Hi Dekhte Zindagi Kat’ti Hai Meri... Uske Mere Bich Me Gujra Wo Khubsurat Saal Tha....

Tujhse pyar tha

Aaj Bhi Mera Dil Mujhse Yeh Puchta Hai.... Kya Woh Sakhs Ko Sach Mein Tujhse Pyaar Tha...?? Kahin Yeh Deewanapan To Nahi... Aisa To Nahi Ke Tu Brahm Ka Shikaar Tha.....?? Kashtiyan Tufaano Se Bhi Guzar Jaati Hai, Par Jo Kashti Beech Safar Mein Gum Hui Thi, Aisa To Nahi Ke Tu Ussi Kashti Pe Sawaar Tha....?? Yeh Baat Sach Hai Ke, Usne Kabhi Chaahat Se Inkaar Na Kiya.... Par Inkaar Na Kiya To Kya Hua..? Kya Uske Taraf Se Kabhi Ikraar Tha.....?? Nazro Ke Teer Ka Khel Kabhi Hum Samaj Na Paaye.... Kuch Alfaazo Ke Liye, Yeh Dil Hamesha Bekaraar Tha.... Khud Se Kabhi Sawaal Karta, Khud Ko Jawaab Deta... Sachai To Yeh Hai Ke, In Sawaal-Jawaabo Se Mai Bezaar Tha.... Aaj Bhi Uss Mod Ko Takte Hai, Jis Raah Pe Bichde Te Kabhi.... Sochta Hoon, Kabhi Door Uss Raah Se Woh Nazar Aaye, Aur Kahe.....*GS*