Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2015

Kyo aagyi yad

Meri Jaan Kyu Aaj Tujhe Meri Yaad Aa Gayi... Meri Kabar Par Phool Rakhne Ki Kya Tujhe Bha Gayi... Bohat Gumsum Si Baithi Hai Aankhein Jhuka Kar... Meri Jaan Kyu Aaj Tujhe Kisi Ki Bewafai Rula Gayi... Sab Takdeer Ka Khel Hai Aaj Teri Baari Hai Kal Meri Thi... Har Kisi Ko Dena Hai Hisaab, Yahaan Chalo Je Baat Tujhe Bhi Samjh Aa Gayi... Rafta - Rafta Chalkar Tu Aa Gayi Ussi Mukaam Par... Jaha Se Hum Saath Chale The , Pichle Paon le Jaane Ki Aadat Tujhe Kahan Le Kar Aa Gayi... Mujhe Sukoon Mil Gaya Ke Tujhe Apni Galti Ka Ehsaas Hai... Tabhi To Meri Rooh Tera Tohfa Kabool Karne Jannat Se Zameen Par Aa Gayi...*GS*

Aakhri deedar

Tu Fir Se Aayi Hai Meri Rehguzar Mein Jhute Khwab Dekhaane Ko... Agar Aana Hai To Aaa Mujhe Apna Banaane Ko... Bata Kya Chahti Hai Mujh Se Mai Chand Sansoo Ka Mohtaz Hun... Aur Kitna Barbaad Karogi Aakhir Iss Dewaane Ko... Mai Gumshuda Hun Apni Zaat Mein Mujhe Neend Se Jaaga... Tabah Kar De Hasti Meri Loot Le Mere Aashiyaane Ko... Sun Le Meri Guzarish Mujhe De Tu Jaam-e- Zahar... Jahan Zindagi Nilaam Ho Mujhe Le Chal Uss Maykhaane Ko... Mujh Pe Ek Aakhri Eahsaan Kar Mujhe Sabit Kar De Bewafa... Ya Fir Kya Hai Such Ye Bata De Beraham Zamaane Ko......*GS*

Kush swal

Kitni shame guzar gyi kitni raate guzar gyi... magar wo nhi aye jinke intzar me ye aankhe thi taras rahi... huyi kya khta hamse ye bhi na btaya unhone hamko... kio hamari zindagi ki sari khushiya ek jhatke me bikhar gyi... kya ham nhi the unke pyar ke kabil... ya kisi aur ki aankhe unke dil me ghar kar gyi... kya kasoor tha hamare dil ka... jise itni wafadari kar ke bhi dagga hi mili... ab to umeed yahi lagayi hai ke shayad zindgi ke kisi mod pe wo achanak hi mijaye... fir pochhenge unse itminan se ke tumhare wade kidhar gye tumhari kasme kidhar gyi....*GS*

Pyar pyar kyo

Mai mohabbat ke shahar se aaya hu... apne saath dard bhare safar ka tajorba laya hu... yaha pe log rahte hai masoom c shaklo wale... magar ye andar se hote hai shatir aklo wale... ye pahle aankhe ladate hai fir dil me utar jate hai... dil ko apna bnate hai jee bhar jata hai jab tab ise tod jate hai... jab tum ilzam lagaoge tab ye aansu bhayenge... dekar wasta tumhe apni adhuri mohabbat ka ye tumse dur chle jayenge... fir tum roz tadfoge inko yaad kar kar k... na tumhe mout aayegi jeena padega mar mar k... ye mohabbat ke shahr ka dastoot bataya hai... ke kaise iss shahar ne mujhko apna bana ke thukraya hai... mai umeed karta hu ke tajurbaa mera aapke kaam aayega... mere hashar ke baad aab nhi lagta ke... koi aur mere jaisa mohabbat ke shahar ke safar pe jayega.....*GS*

Gazal

Izzat itni na utaar meri, ki aaine se aankh na mila paun... Aaina bhi palat ke bole mujhe, toot kar main choor ho jaun... Pyar me pagal bahut dekhe, na dekha tere jaisa koi... Ghar baar toh becha kaiyo ne, tu toh sharam bech aya hai kahin... Itna zalil hoke bhi, gar pet na bhara ho tera... Doob marr kisi kuwe me, hatt ja saamne se zara... Main nasamajh gaya marne bhi, kuwe ne bhi kar diya inkar... Bola naa kar ganda mujhe, is layak b nahi, tu hai bekar.... Kuch toh izzat rakhta teri, itna kyu ho gaya lachar... Meri toh zubaan b na khuli, itna karta tha main usse pyar... Kya ilzaam lagata uspar, jo kabhi thi hi na meri... Sab kuch luta diya uspar, doob gai naav bhi meri... Dil nikaal kar rakh diya, tab bhi kadar na jaani meri... kaha door rakho ise, daag na lage kapdon pe kahin... rakha-rakha dil sookh gaya, ek nazar bhi na uski padi... Aakhir waha se chal pada, shayad woh mujhe roke kahin... Najane kiss bhram me tha, door pahunch b na awaz koi... Palat

Maiyat per aana

Tu pyar karti hai, ye sun ne ko kyu tarasa rahi hai... Jhootha hi kehde, mujhe tu kyu tadpa rahi hai... Chal aaj mat bol, Shayad kuch bandishe hai... Maaf kia tujhe, jaanta hoon pyar tujhe hai... Pyar me pagal toh, karar ho chuka hoon... Aaj toh is zindagi se, farar ho chuka hoon... Ae jaan, Ek khwaish hai meri... Puri karna, tujhe kasam hai meri... Jab meri mayyat me tu aa jaye... Tujhe dekh meri laash bhi muskura jaye... mooh dhaka ho gar kafan se mera... Hatana use halke haath se zara... Phir keh dena dheere se mere kaan me... Ki, haan tu b mujhse bahut pyar karti hai... Shayad aasman me hi, hasta hasta chala jaun... Jate jate tujhe, laakh duaen de jaun... Aaj aaram karle, kal thak jana hai... Bhulna nai, meri mayyat pe tujhe ana hai.*GS*

Sayari

Jab bhi koi mujhe apni dastane-e- mohabbat sunayega... kasam se mere yaar mujhe tu bahut yaad aayega... barish ka geet jab bhi ye aasman gungunayega... tera aansuo se wo tar batar chehra mujhe phir rulayega... patjhad me jab koi patta apni daal se toot jayega... tera mujhe chhod k jana phir se yaad aayega... mere samne jab bhi koi bacha muskurayega.. tere maasum chehre ka khil khilana yaada aayega... jab bhi koi aashiq aapni mahboob pe pyar barsayega... tab mujhe tere sath me guzara wo mohabbat ka zmana yaad aayega... jab jab meri aankho k aansu khud se hi bah kar khud se hi sukh jayenge... tere wo roth jane pe manane k bahane phir yaad aayenge....*GS*

Mout Sikha gyi

Ek Story.....Every Boys Pls Must Read...... Raat Bhar Shrab Pee Kar Uski Yaado Ko Bhula Raha Tha... Ab Na Aayegi Laut Kar Ye Baat Dil Ko Smjha Raha Tha... Dekhte Dekhte Mai Nashe Me Gum Ho Gya... Pata Hi Na Chla Uske Khyalo Me Kho Kar Kab So Gya... Sapne Me Dekha To Wo Mere Pas Khadi Thi... Uski Aankho Se Bah Rahi Ashko Ki Ladi Thi... Kahne Lagi Maine Tumhe Chhod Kar Pachhta Rahi Hu... Magar Fikar Na Karo Mai Tumhe Apne Pas Bula Rahi Hu... Ankhe Kholo Aur Dekho Kitne Log Aaye Hai... Sabne Tumhare Liye Ankho Me Aansu Sjaye Hai... Aaj Itihas Badal Raha Hai... Smaj Ladki Ki Jagah Ladke Ko Vida Kar Raha Hai... Dekha To Sach Me Meri Lash Arthi Pe Padi Thi... Meri Maa Use Dekh Paglo Ki Tarah Ro Rahi Thi... Baba To Mano Bejan Se Hogye The... Apni Lash Ko Dekh Sare Arman Na Jane Kaha Khogye The.... Sab Logo Ne Hatho Se Nahlaya Mujhe... Safed Chamchmata Kafan Panaya Mujhe... Fir Meri Barat Lekar Rote Huye Shamshan Ki Aur Chal Diye... Mere Armano Ke Sath Mere Jism Ko

Gareeb Ka pyar

Uska aur mera sath kuchh is liye bhi chhuta... Khuchh hmara bhi to dil kuchh unka bhi toota... Wo gadi banglo aur arbo ki ekloti varis thi.... Yaha 2 kamre ke mkan ke lone ke liye roz hoti bank me gzarish thi... Usne kapdo ke alag alag brand se ghar ko showroom bnawaya tha... Yaha do jeans thi jisme se ek to usi ne tohfa me dilaya tha.... Uski mahfil lagti bade bade mahlo me... Yaha dhabe pe baithne ke liye chnda ikatha karte the... wo ek raat me hzaro uda ke parvah nahi karti... yaha 100 ka not khrachne me bhi hum darte the... uske naukro ke paas bhi gadiya thi... yaha hum paidal hi pure shahar ka muaina karte the... kaha kabhi nahi usne ke tum gareeb ho... magar kisi ke samne apna kahne me use sharm aati thi... sari galti kismat ki kaise nikal de... kuchh sath hmara amiri garibi ne bhi toda tha.... chahe jitna mai use pyar karu dost... magar sach ye hai ke us ne meri garibi ko dekh kar hi mujhe chhoda tha... magar wo pachhtayegi us din jab meri kabliyat ka u

Phir se ek hue

Ek Haseena Thi Ek Deewana Tha Donoo Mohabat Karte The... Itni Mohabat Karte The Ek Doosre Ke Binaa Rah Na Sakte The... Jab Bhi Mohabat Ki Baten Hoti... Log Unki Baaten Karte The..... Dono Ko Duniya Ki Nazar Lag Gayi... Ek Doosre Se Khafa Ho Gaye... Judaa Huye To Aise Judaa Huye... Ek Doosre Ki Duniya Hi Saath Le Gaye... Dono Milne Ko Tarhapte Rahe... Aur Tarhapte Hi Rah Gaye.... Dono Ek Doosre Ko Chahte The Magar... Suruvaat Kaun Kare Is Men Hi Peechhe Rah Gaye.... Waqt To Kisi Ke Liye Rukta Nahin... Dono Waqt Se Bahut Burhe Ho Gaye... Mudaten Ho Gayee Thi Unko Mile Huye... Kudrat Ne Bhi Aisa Khel Khela Ki Achaanak Ek Din Ek Doosre Ke Saamne Aa Gaye.... Ek Doosre Ko Dekh Dono Ke Lab Sil Gaye... Bina Kuchh Kahe Bahut Kuchh Kah Gaye.... Bas Ek Doosre Ke Aagosh Men Lipat Gaye... Ashk Jo Bahne Lage To Bahte Chale Gaye.... Dono Ko Rote Dekh Hamara Bhi Dil Ro Diya.... Hamre Haath Khud Ba Khud Khuda Ki Aor Uth Gaye.... Aur Ham Khuda Se Ye Kahne Lag Gaye... Ai Khuda

Sad love story

“Ye Tumne Banaye Hain?” Usne Aaloo Ke Parantha Tod Kar Munh Mein Rakha Aur Fauran Boli. "Haan Bilkul" Maine Haste Hue Jawab Diya. "Jhoothe Kahin Ke" Aur Phir Vo Khilkhila Kar Has Uthi. Vahi Hasi Jiska Main Deewana Tha. Vahi Hasi Jise Sune Bina Namera Din Guzarta Tha Aur Na Raat Basar Hoti Thi. Vo Kuchh Lamhe, Vo Kuchh Pal, Jab Vo Dil Khol Kar Hasa Karti Aur Mera Haath Thaam Liya Karti, Jab Kabhi Haste Haste Uski Aankhon Mein Aansoo Aa Jaya Karte, Jaise Meri Zindagi Bas Unhi Kuchh Lamhon Mein Simat Kar Reh Gayi Thi. "Arrey Sach Keh Raha Hoon, Maine Hi Banaye Hain Tumhare Liye" Maine Phir Haste Hue Jhooth Bola. "Subah Se Main Hi Mili Hoon Na? Na Aaloo Hain Tumhare Ghar Mein, Na Aaloo Ubalne Ke Liye Cooker Aur Na Hi Paranthe Banane Ke Liye Tawa. Ye Kya Hawa Mein Banaye The?" Uski Baat Ka Mere Paas Koi Jawab Nahi Tha Aur Vo Mere Chori Pakde Jaane Wale Andaz Par Ek Baar Phir Has Padi. "Lallu Ho Ekdam, Par Mere Ho" “Chand

Love kahani

Ek Titli Udha Karti Thi Baaghon Mein Bekhabar... Rangon Mein Beshumar Thi Hasti Mein Tha Hunar... Har Raah-O-Gulshano Me Faqat Mehka Karti Thi... Wo Bekhabar Titli Jis Raah Rukhsaar Kiya Karti Thi... Huyi Mohabbat Ki Jang.. Aur Dil Haar Baithi Wo... Dekha Ek Gulab, Toh Use Apna Jivansathi Maan Baithi Woh... Khwaabon Ke Unche Makaan Uske Banne Lage... Bin Seedhiyon Ke Raaste Aasman Chadhne Lage... Magar Haqiqat Ko Manzoor Na Tha Ki Aisa Ho... Ki Titli Ko Mile Humraah Jo Gulaabon K Jaisa Ho... Kismat Pe Yaqeen Titli Ko Kuch Hadd Se Jyada Tha... Toota Phir Bharosa Jo Khayaalon Mein Aadha Tha... Chhuta Sath Unka Toh Chah Kr Bhi Phir Na Mil Wo Paaye Kabhi... Hokar Juda Ek Duje Se Magar Rah Na Paaye Kabhi... Har Khilti Kali Ko Ek Hi Salaah Deta Hai Vo Gulaab... Na Karna Mohabbat Toot Ke.. Aur Na Banna Kabhi Mehtaab... Haan Bikhar Jaoge Tinka Tinka Tum Hawa Ke Jhonke Se... Na Aana Kabhi Mohabbat Ke Tum Changul Mein Dhokhe Se...*GS*

Lehron ki kahani

Lehro Aur Kinaaro Ki Mahobbat Yaaro Bahut Badnaam He… Lehro Ki Apni Masti He Aur Kinaaro Ki Apni Shaan He… Kehte He Aksar Log Ki Lehre Karti He Bewafai Kinaaro Se… Par Yaaro Sacchi Haqiqat Se Aap Sab Ab Tak Anjaan He… Kehti He Ek Din Lehre Kinaaro Se Aye Mere Sanam… Kya Tum Is Paak Mahobbat Ko Nibha Paoge...?? Kinaaro Ne Kaha Intehaa Mahobbat Ki Na Puch.. Tum To Mar Kar Bhi Meri Jaan Muje Yaad Aaoge.. Par Ye To Batao Aye Mere Mehbub.. Kya Tum Bhi Meri Tarah Hi Muje Chahoge?? Kaha Lehro Ne Na Karo Baate Aesi Dil Kaanpta He.. Waada Karo Aye Jaan Tum Muje Apna Banaoge.. Kinaaro Ne Kaha Ha Waada Raha Meri Jaan.. Tum Waqt Ke Har Pal Me Muje Apne Sath Paoge... Par Aye Sanam Gar Ruk Gayi Kisi Din Saanse Meri.. Batao Samne Us Rab Ke Tum Kya Kar Paoge?? Sunkar Taish Me Aa Gayi Lehre Aur Tufaan Utha.. Samunder Ki Baaho Ko Cheer Jese Koi Haiwaan Utha.. Tahes Nahes Hua Aasiyana , pass Ka Har Ek Ghar Tuta.. Par Afsos Is Tufaa Me Ek Chote Se Bacche Ka Dil Tuta.. Sab Kuc