Skip to main content

~©~ $@d girl*-*


August 2012 ki bat hai, main delhi public school
mein class 12th mein padti thi. aur us din, main
ne apne school se half day liya aur bahar akar
Amit jo mera boy friend tha aur mere school ke
peeche hi uska ghar tha…!! usko phone kar ke
kaha ki …vo akar apni bike se mujhe mere ghar
tak chhod de.
Amit ne kaha ki vo 5 minute mein aa jayega par
hamesha ki tarah 5 min ke 25 min ho gaye the
par vo nahi aaya. main bahar khadi hokar uska
wait kar rahi thi, phir lagbhag 30 min ke baad vo
aaya , mujhe Amit pe bahut gussa aa raha tha
aur jab maine usse yah puchha ki itni der kaise
ho gayi to usne kaha ki vo TV dekh raha tha.
yah bat sunakr to mujhe aur bhi jyada gussa aa
gaya aur maine use ghar vapas jane ke liye kah
diya. phir Amit ne sirf dikhane ke liye mujhe “I
am sorry ” kaha.!! muhje pata tha ki usne mujhe
dil se “sorry” nahi kaha. par chalo main is bat
se khush thi ki usne atleast “sorry” to kaha. par
kuchh hi dinon mein uska yah “sorry” kahna
uski adat ban gaya.
shayad “sorry” vo sirf isliye kahta tha taki usko
aage koi explaination na dena pade, aur bat
vahin par khatam ho jaye aur muhje uski yah bat
kabhi bhi achchhi nahi lagti thi.
kyunki agar vo kuchh galat karta hai to uska
explaination usko dena chahiye. sirf “I am sorry
” kah dene se sab kuchh thik nahi ho jata na.
par shayad amit is bat ko samajhne ko taiyaar
nahi tha aur na hi apni adat ko sudharne ke liye
aur hamesha ki tarah vo galti karta raha aur sirf
“sorry” bolkar bat khatam karta raha. maine kafi
koshish ki vo is bat ko samjhe. akhir main usse
pyar karti hun aur vo mujhse aur ek love
relationship sirf “sorry” se nahi chalti.
relationship mein understanding ka hona bahut
jaruri hai. par amit kuchh samjne ko taiyar hi
nahi tha shayad…
khair, meri kafi koshish ke baad bhi amit ne
apna attitude nahi badla aur finallly i decided to
break -up our relationship aur tab se maine usse
bat aur phone karna band kar diya tha.
Isi tarah 2 mahine bit gaye. par shayad main
amit se itna pyar karti thi ki usko bhool pana
mere liye thoda mushkil tha. isliye 2 mahine bad
main ek din amit ke school gayi aur jab maine
uske friends se amit ke baren mein puchha to
unhone bataya ki amit ek mahine se school nahi
aaya hai. maine amit ke mobile pe phone kiya to
vo switch off aa raha tha. ab mujhe amit ke liye
thoda tension hone laga tha.
isliye maine apne ek friend jo amit ka bhi friend
tha usko phone kiya aur amit ke baren mein
puchha to usne bataya ki Amit to ek mahine se
hospital mein hai. main agle hi din amit se milne
hospital gayi aur jaise hi main amit ke room
mein pahunchi to maine dekha ki amit bed par
leta hua tha aur kuchh bhi bol nahi pa raha tha .
amit ko aisi halat mein dekh kar main rone lagi
aur amit se bar bar kuchh bolne ke liye kahne
lagi par amit bahut mushkil se hi kuchh bol nahi
pa raha tha. mujhe dekh kar uski aankh se bhi
aansu niklne lage aur usne mujhe phir se “I am
Sorry” kaha aur aankhe band kar li.
Afsos ye ki uske baad uski aankhe kabhi nahi
khul payi. amit mujhe chhod kar kafi door chala
gaya tha aur mujko aaj bhi is bat pe vishwas
nahi hota ki amit ab is duniya mein nahi hai.
ek mahine baad Amit ke mummy mere ghar aayi
aur mujhe kuchh letters diye jo amit ne mere liye
likhe the. aur jab maine uska ek letter khol ka
pada to usme likha tha.
my dear, tumko baar baar sorry kahna mujhko
bhi achchha nahi lagtaa tha. jis din tumne mere
liye 30 minute wait kiya aur jab main late aaya
tha jis din maine tumko sorry kaha tha us din
main janbujh kar late nahi aya tha. us din pahli
baar meri chest mein pain hua tha aur main
behosh ho gaya tha aur jaise hi mujhko hosh
aaya main vaise hi bahar tumhare pass aa gaya
tha us din maine yah sab isliye nahi bataya
kyunki mujhe pata tha ki shayad tumko meri
baton pe yakin na aaye.
aur uske bad maine jitni bhi baar tumko sorry
kaha un sab ke piche yahi ek reason tha. i had a
hole in my heart and God did not give me the
chance to say I Love You for the lifetime. main
bhi tumko bahut pyar karta tha, karta hun, aur
karta rahunga.bas tumko yah sab kahne ki
himmat kabhi nahi kar paya. i m sorry. i love
you my angel … AMIT
Kaash main Amit ko samaj pati…
Moral of this Hindi Love Story: Friends, very few
are fortunate enough to have love in their life. An
very few are unfortunate to let it go away
because of their small mistakes and lack of trust.
When ever you feel your friend or lover is not
opening up to you, try to find out at least once
the actual reason behind it. Otherwise all you will
also feel like saying I am sorry!

Comments

Popular posts from this blog

Bewafa sayari

Kuchh es tarah se meri zindagi ko maine aasaan kar liya, Bhulkar teri bewafai, meri tanhai se maine pyar kar liya.

Hindi sad lines

आरजु थी तेरी बाँहोँ मेँ दम निकले, कसुर तेरा नहीँ बद- नशीब हम निकले! जहाँ भी जाये खुश रहे तु सदा, दिल से दुआँ सदा ये ही निकले! मेरे हाँठो की हँसी तेरे हाँठो से निकले, तेरे गम का दरि...

मेरी गर्लफ्रेंड है मेरी जान और सच्चा प्यार – Sacche Pyaar ki Kahani

Mera naam Krishan Kant hai aur main Aurangabad se hu. Maine abhi abhi apni graduation complete ki hai aur ek choti si company me naukri karta hu. Mujhe Rs 8000 per month milte hai lekin agar main overtime kar lu to zyada bhi ban jaate hai. Meri ek girlfriend hai jiska naam Meenakshi hai. Hum dono ek dusre ko pichle 3 saal se pasand karte hai. Main usse bahut pyar karta hu lekin abhi tak mujhe ye nahi pata tha ki wo bhi mujhse itna hi pyar karti hai ya nahi. Sacche Pyaar ki Kahani Kuch dino baad Meenakshi ka birthday tha aur maine socha ki is baar use koi accha sa thoda mehanga mobile phone gift karu. Lekin dikkat ye thi ki mera budget nahi ban raha tha. Aap to jaante ho ki Rs 8000 maheene ke koi zyada nahi hote. Sacche Pyaar ki Kahani Use gift dene ke liye maine overtime karna shuru kar diya. Ab main din me 12 – 12 ghante kaam karne laga. Meenakshi hamesha mujhse poochti thi ki aajkal tum milne nahi aate ho, phone par bhi kam baat karte ho… to main koi na koi bahana ban...