maine bhi kisi se bahot pyar kiya tha aur aaj bhi karta hu.uske har jhuth ko maaf karta raha kyoki usse bepanah pyar karta tha.har lamha bas ushi ke naam se bitta tha.kabhi kabhi uske jhuth se dil ko bahot dukh pahuchta tha par jaise hi wo samne aati mai sab bhul jata tha.mujhse pehle bhi uski life mai koi tha lekin usne kaha ki abhishek maI sirf tumse pyar karti hu.maine bola theek hai.mai bhi usse bahot pyr karne laga, usse milne k bahane dundta rehta tha, uske liye jitna bhi kar du kam lagta tha, meri puri zindagi bas ushi irdgird simat gyi thi.bas usse dekh bhar lene jaan aa jati thi.pehla pyr tha aur aakhri bhi isliye lagta tha usse kabhi koi kami na hone paye.mai uska pehla pyar nhi tha par hamesha yhi sochta tha ki uska pehla pyr nhi ban saka to kya hua uska aakhri pyr ban jau ki mere baad usse koi aur accha hi na lage.mujhe bura lagta tha jab wo us ladke se baat karti thi par maine kabhi usse mana nhi kiya ki usse baat mat kiya kar bas itna hi bolta tha ki kam baat kiya kar.par mujhe apne pyr pe yakeen tha.apne har dost ko challenge karta tha ki ye ladki kabhi mujhe chod ke nhi ja sakti.wo khud bolti thi ki abhishek tum mere bina jee nahi paoge.aur maI har challenge haar gya.wo mujhe chod k us ladke k pass cali gyi.aur mai dekhta hi reh gya kuch bhi nhi kar paya.kai baar usse call kiya par wo mera call receive nhi karti thi.pehle usne mere pyar k sath khela phir mere dil ke sath aur phir meri zindagi ke sath.jisko ek din bhi dekhe bina nhi reh sakta tha aaj uski aawaz sune hue bhi mahino ho gye.bahot roya bahot tadpa uske liye.phir socha khud ko hi khatam kar lu to ye dard bhi khatam ho jayega.dosto mai 14 din tak icu mai ventilator par aadmit rha.mere bach pane k chance bahot kam the.mujhe to hosh bhi nhi tha. Par jab hosh aaya to uske bare mai pucha to ye sunn ke acha laga ki wo achi hai.aur ye sun k dukh bhI hua ki usne ek pal k liye bhi mera halchal lena jaruri nhI samjha.dosto
Kya is duniya maI pyr bas ek khel hai?
Kya kisI ko pyr karna gunah h?
Agar maine apne pyr ko apni jindagi banayi to kya gunah kiya?
Kyo usne mere sath dushmano se bhi battar salak kiya?
Dosto aise kai sawal din raat is dil mai chubte rehte hai par aaj tak uske jawab mujhe nhi mil paye
humne chalte hue unse poocha ki ek pal mai jan kaise niklti hai aur usne ek pal mai mera hath chor diya
Comments
Post a Comment